Saturday, 23 August 2014

Dhoka Jo shakhs kisi ko dhoka deta hai wo tasawar karta hai keh isnay faqat aik shakhs ko dhoka diya hai, Aaj ki bat


Dhoka
Jo shakhs kisi ko dhoka deta hai wo tasawar karta hai keh
isnay faqat aik shakhs ko dhoka diya hai,

NAHI...
Dar haqeeqat usne aik fard, aik dil, aik zehen, aik iraday, aik khandaan
aik nizam or maasharti nizam ko dhoka diya,
Kyun keh aik insan ke kam as kam
itne rawabit to hote hain


Wednesday, 20 August 2014

Sunday, 17 August 2014

RAB Kehta hai Kisi ko takleef de kar mujhse apni khushi ki dua mat karna, Urdu Hikayat


RAB Kehta hai
"Kisi ko takleef de kar mujhse apni khushi ki dua mat karna
Lekin agar kisi ko aik pal ki khushi
dete ho to apni takaleef ki fikar
mat karna
"


Saturday, 16 August 2014

Agar kisi ne tumhari raah mai kaante bichai hain to tum un kanton ko hata do, Urdu Hikayat


Agar kisi ne tumhari raah mai kaante bichai hain
to tum un kanton ko hata do


Kyun Keh agar tum bhi jawab mai kante bichaogay 
to dunya kaanton se bhar jaigi

Friday, 15 August 2014

Wednesday, 13 August 2014

Faslay dilon mai hote hain Kabhi aik he ghar mai rehte hoe, Urdu Hikayat, Quotation of The Day


Faslay dilon mai hote hain

Kabhi aik he ghar mai rehte hoe

bhi log ajnabi ban jate hain

or kabhi hazaron meel ka fasla bhi kuch nahi hota


Friday, 8 August 2014

Zindagi ki khubsurti rishton se hai Or rishte tab he qaim rehte hain, urdu hikayat


Zindagi ki khubsurti rishton se hai

Or rishte tab he qaim rehte hain 

jab hum choti si muskurahat or halki si mazrat se

sab ko mavf kar dete hain


Thursday, 7 August 2014

Mazhab mai se insaaniyat or khidmat nikal di jai to sirf ibadat reh jati hai, urdu hikayat.


Mazhab mai se insaaniyat or khidmat nikal di jai

to sirf ibadat reh jati hai

 

or mehez ibadat ke liye parwardigar ke pas

"Farishton" ki koi kami nahi