Hum dosron ko unke kirdaar per nahi, apni
"zaroorat" ke mayyaar per paralhtay hain, issi
liye zaroorat badal jane per, rawayye bhi badal
jate hain..
Jab koi
Aazmaish shooru hoti hai
to us waqt tak khatam nahi
hoti hai jab tak us sabaq
ko seekha na jai, jo us
mai posheedah hai
issay barh kar tum apne dost ko apni dosti se
kese aaq karoge keh wo gunah ke raste per chal raha hai
or tum usay apni zuban se bhi nahi rok rahe..
Qanoon andha hota hai, Lekin
perfume or paseenay ki buu mai
farq kar leta hai tabhi perfume
wale ko insaaf miljata hai
jab keh paseena wala intezar he
karta hai
Jin ke ikhlaaq omda hain unki sohbat talash karo. Lazim
nahi jiske ird gird log jama hon wo Allah ka dost
bhi ho, madari bhi to log jama kar lete hain.
"ZAMEER"
Sarak per lage us maloomaati sign Board ki tarah hai,
Jo raasta or sahi simt to btata hai magar
us per chalne ke liye majboor nahi karta