Jaise aap apni behen ko uske susral main
khush dekhna chahte hain
aise he aoni bivi ko bhi khush rakhein
kyu keh wo bhi kisi ki behen hai
Rishton mai nharosa aur mobile phone main network
naa ho to log games khelna shuruu kar dete hain
Agar aap demaghi tor pe tez hona chahte hain to
8 ghante soen
Takleef mai sajda karna aur phir takleef ko dunya
walon se chupana
Allah walon ki sift hoti hai
Meri likhi har bat ko koi samajh nahi pata
kyu keh
mai ehsaas likhta hon..
Log alfaaz parhte hain
Jisko tum bura samajh kar naa-pasand kar ke chor dete ho. usko
koi dosra shakhs ya cheez acha samajh kar qabool kar leti hai..
kya koi cheez aik he waqt mai achi aur buri ho sakti
hai? wo naa achi hai, naa buri siwaai uske keh
tumhari "MAIN" ne usey bura bana diya hai. kisi
dosre ki "MAIN" ne usey acha bana diya..
Har Shakhs dunya ko badalna chahta hai
Lekin apne aap ko badalne per aamada nahi hota