Saturday, 26 September 2015

Hum aik Azeem qoum ban sakte hain agar..!! hum mavf karna aur mavfi mangna shuru kar dein, urdu hikayat, aqwal.e.zareen, aj ki baat


Hum aik Azeem qoum ban sakte hain
agar..!! hum mavf karna
aur mavfi mangna shuru kar dein..


Friday, 11 September 2015

Insaan ye samajh kar jhoot bolta hai keh kabhi pakra naa jaiga aur ye yaqeen rakh kar dhoka deta hai keh aglaa bewaquf kabhi uski, aaj ki bat


Insaan ye samajh kar jhoot bolta hai keh kabhi
pakra naa jaiga
aur ye yaqeen rakh kar dhoka deta hai keh
aglaa bewaquf kabhi uski

ayyaari aur makkaari ko jaan nahi paiga magar
khuda ka qanoon bara mukhtalif hai
insaan ko waha aa kr thokar lagti hai
jahan usay paar pohanch jane ka
sab se zyada yaqeen hota hai


Saaf go aur mou phatt log kabhi bhi logo ke pasandeeda nahi hote Lekin aise log in chaaploos-o-keena parwar logo se behtar hote hain, urdu hikayat, nice words, aj ki bat


Saaf go aur mou phatt log kabhi bhi
logo ke pasandeeda nahi hote
Lekin aise log in chaaploos-o-keena parwar
logo se behtar hote hain

jo apke mou per apki ki tareef-o-tauseef ke pul bandhtay hain
aur peeth peachay aib joiee-o-badgoiee mai
mulawvis rehte hain
aise log bohat khatarnaak-o-naqaablay aitebar hote hai


Aurat ki Khubsurti Husn-o-Jamal sirf khubsurat chehray ka naam nahi Bal keh izzat o sharafat ka bhi Husn-o-Jamal mai dakhal hai


-:Aurat ki Khubsurti:-
Husn-o-Jamal sirf khubsurat chehray ka naam nahi
Bal keh izzat o sharafat ka bhi
Husn-o-Jamal mai dakhal hai kyun keh bawajood khubsurti ke
sharafat per dhabba lage
to sara husn maand par jata hai...


Zindagi aik kahani ki manand hai Kahani apne kubsurat alfaaz se he Khubsurat lagti hai, Aj ki Bat, aqwal.e.zareen, urdu hikayat, nice words

Zindagi aik kahani ki manand hai
Kahani apne kubsurat alfaaz se he
Khubsurat lagti hai

Isee tarah zindagi bhi apne
ache awosaaf se he achi lagti hai


Wednesday, 2 September 2015

Na umeed shakhs har acha moqa b gawa deta hai,


Na umeed shakhs har acha moqa b gawa deta hai,
Aur
Pur umeed shakhs har preshani me b moqa talash ker leta hai.

Gulab ka koi b naam rakh lo Magr pehchan, Khusboo se hoti hai


Gulab ka koi b naam rakh lo
Magr pehchan,
Khusboo se hoti hai
Insaan kisi b rang,roop ya zaat ka ho mgar pehchan 
"ikhlaq" se hoti hai.