Thursday, 7 May 2015

Yaqeen hogaya keh gharon ke andar gunjaish ka taaluq dil se hota hai. Dil khulay hon to, urdu hikayat, aj ki bat


Yaqeen hogaya keh gharon ke andar gunjaish ka

taaluq dil se hota hai. Dil khulay hon to

chotay ghar mehel ho jate hain. aur agar dil

tang hon to mehel darrbon mai badal jaye hain


Amooman mashray mai log jab kisi shakhs mai koi burai dekhte hain to saray logon mai uska zikar, urdu hikayat


Amooman mashray mai log jab kisi shakhs mai koi

burai dekhte hain to saray logon mai uska zikar

karte hain siwai uske, jis mai burai mojood

hoti hai aur phir islaah ki tawaqa rakhte hain,,,


Friday, 1 May 2015

Aik shakhs gusse ka bohat tez tha.. aik aalim ne mashwara diya: jab gussa aai to jungle ja kar darakht mai keel thokna, urdu hikayat, aj ki baat


Aik shakhs gusse ka bohat tez tha..

aik aalim ne mashwara diya: jab gussa aai to

jungle ja kar darakht mai keel thokna

 

usne aisa he kiya, aakhir auk din uska gussa khatam hogaya

 

usne Aalim ko bataya.. Aalim ne kaha: ab us darakht se

ye keelein nikal lo, Aadmi ne nikal leen lekin darakht mai

sorakh hogai. Aalim ne kaha: ye wo sorakh hain jo tum gusse ki

halat mai logo ke dilon mai karte thay


Monday, 20 April 2015

Zindagi mai agar bura waqt na aata to apno mai chupay ghair or ghairon mai chupay apne kabhi zahir na hote, Aj ki baat


Hazrat Ali (R.A)


Zindagi mai agar bura waqt na aata to apno mai chupay ghair

or ghairon mai chupay apne kabhi zahir na hote...


Saturday, 18 April 2015

Miya Bivi ka rishta dunya ka wo wahid rishta hai jis mai, urdu hikayat,


Miya Bivi ka rishta dunya ka wo

wahid rishta hai

jis mai

aik he insaan

se kai bar nafrat or bar bar

mohabbat ho sakti hai

Sunday, 12 April 2015

SHAIKH Saadi farmatay hain, mai ne aik neik shakhs ko darya ke kiaray dekha jis ko, urdu hikayat


SHAIKH Saadi farmatay hain

mai ne aik naik shakhs ko darya ke kinaray dekha jis ko aik

cheetay ne zakhmi kardiya tha. or uska zakham kisi dawa se acha na hota tha

or wo arsa daraz se us takleef mai mubtila tha
magar har waqt Allah ka shukar adaa karta tha
Logon ne us se poucha keh
shukar kis bat ka adaa karte ho?
usne jawab diya. isliye keh
Musibat mai mubtila hoon, na keh gunah mai

Wednesday, 8 April 2015

Lafz jitne bhi mutasir kun istemaal krliue jain agar khalus or mohabat ki garmaish se aari hon to mukhatib, best quotation, urdu quotation


Lafz jitne bhi mutasir kun
istemaal krliue jain
agar khalus or mohabat ki
garmaish se aari hon
to mukhatib ke dil per
asar nahi karte