Umer thori hai aur kaam bohat hai, pas aqal mand wohi hai
Jo apni qeemti umer ko zarori kamon mai sarf kardey..
Dunya Ka dastoor bhi nirala hai
yaha jo aattay ki bori
utha sakta hai wo khareed nahi sakta
aur jo khareed sakta hai
wo utha nahi sakta
Jis Jang mai "Rishton"
ke haar jane ka andesha ho
us Jang mai hatyaar daal
dena or shikast tasleem kar lena
he asal jeet hai.
Bacha jab bara ho jata hai to us se
sikkay wali pencil lekar qalam sliye de diya jata hai
ta keh wo samajh jai keh ab uski
ki gai ghaltiyon ko mitana asaan nahi hoga
Nigaah ke samnay bek waqt bohat se manazir
hote hain magar sirf wohi wazih or saaf
nazar ata hai jis per focus hota hai
Wo log jo insaan ko chor kar yaa
insan se mou mor kar khuda ki talash karte hain,
Kamyab nahi ho sakte...
apne baap se mohabbat keejiye
jo khud to laathi teknay laga
magar apko paon par khara kardiya