Saturday, 27 December 2014

Kabhi kisi ka dil na dukhao Kyun Keh Mavfi maang lene ke bawajood usay dukh zaroor rahega, aqwal e zaree, urdu hikayat


Kabhi kisi ka dil na dukhao
Kyun Keh
Mavfi maang lene ke bawajood usay dukh zaroor rahega


Zindagi ka apna he rang hai Dukh wali rat soya nahi jata or khushi wali raat sone nahi deti, Aqwal-e-zareen, Urdu hikayat


Zindagi ka apna he rang hai
Dukh wali rat soya nahi jata
or khushi wali raat sone nahi deti...


Wednesday, 24 December 2014

Dunya agar hath se nikal jai To banda "Ghareeb" hojata hai Or agar yehi dunya dil se Nikal jai to banda "Wali" ho jata hai..


Dunya agar hath se nikal jai
To banda "Ghareeb" hojata hai
Or agar yehi dunya dil se
Nikal jai to banda "Wali" ho
jata hai..


Beshak tum tanhai mai burai karo Phir bhi chaar gawah bilkul tayar hain, Aj ki Bat, Aqwal.e.zareen


Beshak tum tanhai mai burai karo
Phir bhi chaar gawah bilkul tayar hain
1. Ankhein
2. Dil
3. Kaan
4. Haath


Friday, 19 December 2014

Dosron ki zindagiyon mai be ja madakhlat se aap ko kuch nahi milne wala, Urdu hikayat


 Dosron ki zindagiyon mai be ja madakhlat
se aap ko kuch nahi milne wala...

Yaqeen maniye aap ki apni zindagi mai bht kuch
aisa hai jo ap ki tawaja ka muhtaaj hai


Saturday, 13 December 2014

Aik Kamyaab insaan wo hai jo inhii patharon se aik ghar taameer karde jo uske opr phenke jate Hain, Aqwal-e-zareen


Aik Kamyaab insaan wo
hai jo inhii patharon se
aik ghar taameer karde jo
uske opr phenke jate
Hain...


Monday, 8 December 2014

Haal ke badhaal hone ke bawajood mustaqbil ke khushaal hone ki, Urdu Hikayat,


Haal ke badhaal hone
ke bawajood mustaqbil
ke khushaal hone ki

Omeed ko tark na karna
Chahiye




Thursday, 4 December 2014

Gunah Kuch or nahi hai Bul keh wo deewar hai Jo insaan ne apne or Allah pak ke darmiyan Haail krli hai, Urdu hikayat


Gunah Kuch or nahi hai
Bul keh wo deewar hai
Jo insaan ne apne or
Allah pak ke darmiyan
Haail krli hai..


Saturday, 29 November 2014

Agar anday ko bahir se tora jai to "Zindagi dam Torr deti hai" Jab keh anda andar se tootay to "Zindagi janam Leti hai", Urdu hikayat,


Agar anday ko bahir se tora jai to "Zindagi dam Torr deti hai"
Jab keh anda andar se tootay to "Zindagi janam Leti hai"
(Masbat tabdeeli hamesha andar se peda hoti hai
apna andar badliye)


Wednesday, 26 November 2014

Jo Elm duniya kamane ke liye hasil karta hai Elam uske dil mai jaga nahi pata, By Imam Abu Hanifa..


Jo Elm duniya kamane ke liye hasil karta hai
Elam uske dil mai jaga nahi pata


                                 Imam Abu Hanifa (RH)

Sunday, 23 November 2014

Do cheezen insan ki kamzori zahir karti hain. Jaha bolna ho, waha khamosh rehna or jahan khamosh rehna ho, wahan bolna, urdu hikayat


Do cheezen insan ki kamzori zahir karti hain.
Jaha bolna ho, waha khamosh rehna
or jahan khamosh rehna ho, wahan bolna


Saturday, 15 November 2014

Kabhi kabhi insaan ko apna bojh baant lena chahiye, magar sahii bande ke sath aur sahii waqt per, Urdu hikayat,


Kabhi kabhi insaan ko
apna bojh baant lena
chahiye, magar sahii
bande ke sath
aur sahii waqt per


Gunahon ki badbuu ki vaja se hamari Duain murda hojati hain, Urdu hikayat, Aqwal.e.zareen


Gunahon ki badbuu ki vaja se hamari
Duain murda hojati hain..


Mazaq Ki kasrat Aksar dushmani ki waja banjati hai, Urdu Hikayat


Mazaq Ki kasrat
Aksar dushmani ki waja
banjati hai


Zindagi ke har mor per sulah karna seekho kuyn Keh jhukta wohi hai Jis mai Jaan hoti hai, Aj ki baat


Hazrat Ali (R.A)

Zindagi ke har mor per sulah karna seekho
kuyn Keh jhukta wohi hai
Jis mai Jaan hoti hai
Akarna to murday ki pehchan hoti hai..


Hamesha apne Rab-ul-Izzat se Pur Omeed rehna Kyun Keh iss pori kainaat mai jitna jaldi Rab Razi hot hai Utna jaldi koi raazi nahi hota, Urdu Hikayat


Hamesha apne Rab-ul-Izzat se Pur Omeed rehna
Kyun Keh
iss pori kainaat mai jitna jaldi Rab Razi hot hai
Utna jaldi koi raazi nahi hota


Tuesday, 11 November 2014

Darakht jitna ouncha hoga uska saya utna he chota hoga Sliye "Ouncha" banne ke bajai "Bara" banne ki koshish karo, Urdu hikayat


Darakht jitna ouncha hoga
uska saya utna he chota hoga
Sliye "Ouncha" banne ke bajai
"Bara" banne ki koshish karo


Friday, 7 November 2014

Mojuda dunya aik aisi jaga hai jahan har insaan per gham or takleef ka lamha aata hai magar aise lamhaat hamesha waqti hote hain, urdu hikayat,


Mojuda dunya aik aisi jaga hai
jahan har insaan per gham or takleef ka lamha aata hai
magar aise lamhaat hamesha waqti hote hain

agar aadmi s lamhe ko bardasht kar le to
bohat jald usay maloom hota hai keh
"Tareek Haal" mai uske liye
"Roshan Mustaqbil" chupa hua hai..


Aadmi bees sair wazan utha leta hai magar aansu nahi utha sakta wo gir parte hain, Urdu hikayat, Haqeeqat bat


Aadmi bees sair wazan utha leta hai
magar aansu nahi utha sakta
wo gir parte hain...


Parende panjon ki vaja se, Machliyaan mou ki vaja se, Chopai paon ki vaja se, aj ki bat


Parende panjon ki vaja se,
Machliyaan mou ki vaja se,
Chopai paon ki vaja se,

or Insaan apni zuban ki vaja se jaal mai phanste hain


Thursday, 6 November 2014

Log 90 % ittefaqi masail per amal nahi karna chahte or 10 % ikhtelafi masail per behes karna apna haq samajhte hain or apna waqt zaya karte hain, urdu hikayat


Log 90 % ittefaqi masail per amal nahi karna chahte
or 10 % ikhtelafi masail per behes karna apna haq
samajhte hain
or apna waqt zaya karte hain...


Friday, 31 October 2014

Ache insaan ki sab se pehli or sab se aakhri nishani ye hai keh wo un logon ki bhi izzat karta hai Jin se usay kisi qisam ke faidey ya mufaad ki tuwaqa nahi hoti, aj ki bat

Ache insaan ki sab se pehli or
sab se aakhri nishani ye hai
keh wo un logon ki bhi izzat karta hai
Jin se usay kisi qisam ke faidey ya mufaad
ki tuwaqa nahi hoti


Khubsurti to khatam or tabdeel hojati hai lekin seerat naa to khatam hoti hai, naa tabdeel..! urdu hikayat


Khubsurti to khatam or tabdeel
hojati hai lekin seerat naa
to khatam hoti hai, naa
tabdeel..! 


Wednesday, 29 October 2014

Acha Sochiye or Acha boliye kyun keh BADGUMANI OR BADZUBAANI, Urdu hIKAYAT, Aj ki bat


Acha Sochiye or Acha boliye kyun keh
BADGUMANI OR BADZUBAANI

Do aise aeib hain jo insan ke
har kamal ko zawal mai badal dete hain


Wednesday, 22 October 2014

"Agr apko mohbt oun sa na mly jin sa ap pyr krty hn to phr "Mohbbat" oun ko zarur dyn jo ap sa pyr krty hn"


"Agr apko mohbt oun sa na mly jin sa ap pyr krty hn to phr
"Mohbbat" oun ko zarur dyn jo ap sa pyr krty hn"

Kamiyab Zindagi Guzarna Chahtey Ho To Hamaisha Yad Rakho! "Paon Beshak Phisal Jaye, Urdu hikayat, Aj ki baat


Kamiyab Zindagi Guzarna 
Chahtey Ho
To
Hamaisha Yad Rakho!
"Paon Beshak Phisal Jaye
Lekin
Zuban Ko Na Phisalne do"
"Aj Amal ha
Hisab Nai
Lekin
Kal Hisab Hoga
Amal Nai"
"Jhoot Bol K Jeet Janey Se
Such Bol K Har Jana Behter Hai"
"Khoobsorti Kapron ya shakal Se Nai
Balke
Achey Ikhlaq Se hoti hai...

Sunday, 19 October 2014

Dosron ko manna unko ehmiat dena unko sarahna unko tasleem karna mohabbat hai, aj ki bat. Quotation of the day, urdu hikayat


Dosron ko manna unko ehmiat dena unko sarahna
unko tasleem karna mohabbat hai

Ye wo mohabbat nahi jo aksar hum
mard-o-orat tak mehdood rakhte hain
bul keh ye wo mohabbat hai
jissay insaniyat kaha jata hai


Saturday, 11 October 2014

Dunyavi aaloodgi se ankhen dhundli ho jati hain or phir har cheez haqiqat ke bar.aks nazar anay lagti hai. Urdu hikayat


Dunyavi aaloodgi se ankhen dhundli ho jati hain
or phir har cheez haqiqat ke bar.aks nazar anay lagti hai


 Agar dunya ko haqiqat ki nigah se dekhna chahen to waqtan fawaqttan
apni ankhon ko khof-e-Khuda se behne wale ansu se dhote rahen


Wednesday, 8 October 2014

Doran E Guftagu mehez kisi ko neecha Dikhane ke liye gher zarori tanzz karna ehsas e kamtari ko zahir karta hai. Aj ki bat


Doran E Guftagu mehez kisi ko neecha
Dikhane ke liye gher zarori tanzz karna
ehsas e kamtari ko zahir karta hai

aik suljha hua insan bila vja karwe
or talkh lehje mai baat nahi karta


Saturday, 4 October 2014

Omeed Aadhi zindagi hai or Mayoosi Aadhi moat hai, Urdu Hikayat of the day


Omeed Aadhi zindagi hai
or
Mayoosi Aadhi moat hai

Monday, 29 September 2014

Insaan jitni mehnat aeib chupanay mai karta hai Itni mehnat se Aeib ko door kya ja sakta hai, Urdu hikayat, qoutation of the day


Insaan jitni mehnat aeib chupanay mai karta hai
Itni mehnat se Aeib ko door kya ja sakta hai


Mout (Death) aik khula raaz hai khula sliye keh har aik janta hai keh usay mout aani hai aur Raaz bhi koi nahi janta keh ye kab, kahan or kese aani hai, urdu hikayat,


Mout (Death) aik khula raaz hai
khula sliye keh har aik janta hai keh usay mout aani hai
aur Raaz bhi koi nahi janta keh ye kab, kahan or kese aani hai


Logo ke liye aap tab tak ache ho Jab tak aap unki omeedon ko pora karo, urdu image qoutations,


Logo ke liye aap tab tak ache ho
Jab tak aap unki omeedon ko pora karo

aur tumhare liye sabhee log ache hain
Jab tak aap unse koi omeed na rakho


Waqt or samajh aik sath khush qismat logo ko milte hain Kyun Keh aksar waqt per samajh nahi hoti aur samajh anay tak waqt nahi rehta


Waqt or samajh aik sath khush qismat logo ko milte hain
Kyun Keh aksar waqt per samajh nahi hoti
aur samajh anay tak waqt nahi rehta


Wo log kisi ke nahi hote jo dost aur rishton ko libas ki tarah badalte hain, urdu hikayat


Wo log kisi ke nahi hote jo dost
aur rishton ko libas ki tarah badalte hain


Khwahish se nahi girte phal jholi mai waqt ki shaakh ko mere dost hilana hoga, urdu quotation, urdu hikayat, anmol batain


Khwahish se nahi girte phal jholi mai
waqt ki shaakh ko mere dost hilana hoga

Kuch nahi hoga andheron ko bura kehne se
apne hisse ka diya khud he jalana hoga


Sunday, 21 September 2014

Roz Gunah Karta hoon, Wo chupata hai apni rehmat se, Urdu Qoutations


Roz Gunah Karta hoon,
Wo chupata hai apni rehmat se

Mai majboor apni adat se,
Wo mashhoor apni rehmat se


Sab insan aik jese Nahi hote, Bohat Farq hua karta hai, Urdu Hikayat


Sab insan aik jese
Nahi hote,
Bohat Farq hua karta hai

Koi zindagi ko guzarta hai or
kisi ko zindagi guzar deti hai


Friday, 19 September 2014

Kabhi kabhi naik kaam kar lena koi bari baat nahi Bul keh naik kamo par qaim rehna bari baat hai, urdu qoutations



 Kabhi kabhi naik kaam kar lena koi
bari baat nahi
Bul keh naik kamo par qaim rehna bari baat hai


Tuesday, 16 September 2014

Zindagi mai agar intekhaab ka moqa mile to taas kar lena isliye nahi keh intekhab mai asani hojaigi, Urdu Hikayat,


Zindagi mai agar intekhaab ka moqa mile to taas kar lena
isliye nahi keh intekhab mai asani hojaigi

Bul keh isliye keh jab sikka hawa mai hoga to apko
pata chal jaiga keh apka dil kya chahta hai


Friday, 12 September 2014

Agar nakaami ke bad kamyabi mile to bajai us keh ke kamyabi ke baad nakaami mile, Urdu Hikayat, Qoutation of the day


Agar nakaami ke bad kamyabi mile
to bajai us keh
ke kamyabi ke baad nakaami mile


Tuesday, 9 September 2014

Mout sab sebari haqeeqat hai Jisko har shakhs bhula betha hai, Quote of the Day


Mout sab sebari haqeeqat hai
Jisko har shakhs bhula betha hai

or zindagi sab se bara dhoka hai
Jis ke peechay har shakhs bhaag raha hai


Sunday, 7 September 2014

Hamesha zindagi is tarah basar karo keh Dekhne wale tumhare dard per afsos ke bajai, Urdu hikayat, Aqwal-e-zareen


Hamesha zindagi is tarah basar karo keh
Dekhne wale tumhare dard per afsos ke bajai
Tumhare sabar par rashk karen


Bohat see aurtein aisi hai jo admi ko bewaqof banati hai or bohat see aisi hain jo bewaqof ko admi banati hain, urdu hikayat


Bohat see aurtein aisi hai jo admi ko bewaqof banati hai
or bohat see aisi hain jo bewaqof ko admi banati hain


Saturday, 6 September 2014

Kabhi bhi koi faisla gusse ki halat mai na karna Kyun keh Ubalte hoe paani mai aks dikhai nahi deta, Aj ki Bat


Kabhi bhi koi faisla gusse ki halat mai na karna
Kyun keh
Ubalte hoe paani mai aks dikhai nahi deta


Badd zubani, BAd kalami or fehish goi se Ap na sirf apna waqar tabah karte hain, Urdu Hikayat


Badd zubani, BAd kalami or fehish goi se
Ap na sirf apna waqar tabah karte hain

Bul keh in logon ki bhi toheen karte hain
jinhon ne apki tarbiyat ki


Friday, 5 September 2014

Aurat Ki khubsurti Husn o jamal sirf khubsurat chehre ka naam nahi Bal keh izzat o sharafat ka bhi husn o jamal mai dakhal hai, Urdu Hikayat, Best Word of Urdu


Aurat Ki khubsurti
Husn o jamal sirf khubsurat chehre ka naam nahi
Bal keh izzat o sharafat ka bhi husn o jamal mai dakhal hai

kyun keh bawajood khubsurti ke sharafat per dhabba lage
to sara husan maand parr jata hai


Wednesday, 3 September 2014

Insaan ki sabse Bari ghalti Apni Ghaltiyon se Be-Khabar Hona hai, Urdu Quotation of the day


Insaan ki sabse
Bari ghalti Apni Ghaltiyon se
Be-Khabar Hona hai 


Monday, 1 September 2014

Insaan kisi bhi shay ko dhoka qarar de kar khud ko Bari khubsurti se dhoka dene mai kamyaab ho jata hai, Urdu hikayat


Insaan kisi bhi shay ko dhoka qarar de kar khud ko
Bari khubsurti se dhoka dene mai kamyaab
ho jata hai..


Saturday, 23 August 2014

Dhoka Jo shakhs kisi ko dhoka deta hai wo tasawar karta hai keh isnay faqat aik shakhs ko dhoka diya hai, Aaj ki bat


Dhoka
Jo shakhs kisi ko dhoka deta hai wo tasawar karta hai keh
isnay faqat aik shakhs ko dhoka diya hai,

NAHI...
Dar haqeeqat usne aik fard, aik dil, aik zehen, aik iraday, aik khandaan
aik nizam or maasharti nizam ko dhoka diya,
Kyun keh aik insan ke kam as kam
itne rawabit to hote hain