Saturday 2 December 2017

Hamara ghar chahe jitna bhi bara ho, kapre kitne he mehnge


Hamara ghar chahe jitna bhi bara ho, kapre kitne he mehnge
aur khubsurat hon, Hum kitne hee ameer hon,
Lekin hum sb ki qabrein aik he jesi hongi


Sunday 12 November 2017

Ghussa aik khanjar hai jo insaan apne he Dil mai ghonp deta hai, urdu hikayat, aqwal e zareen


Ghussa aik khanjar hai jo insaan apne he
Dil mai ghonp deta hai. dosre
ki khata per khud ko saza dene ka naam hai

Sunday 5 November 2017

Insaan marta marjai lekin kabhi bhi un saaharon, urdu qoutation, urdu best lines,


Insaan marta marjai lekin kabhi bhi un saaharon
pe bharosa na kare jo kai bar uski bunyadon
ko hila chuke hon

Sunday 29 October 2017

Nakaam log or Kamyaab Log


Nakaam log or Kamyaab Log

Sunday 15 October 2017

Doran.e.guftagu mehez kisi ko neecha dekhane ke liye gher zarori tanzz karna ehsaas.e.kumtari ko zahir karta hai, urdu hikayat, urdu lines


Doran.e.guftagu mehez kisi ko neecha
dekhane ke liye gher zarori tanzz karna
ehsaas.e.kumtari ko zahir karta hai


aik suljha hua insaan bila waja karrway
aur talkh lehje mai bat nahi karta

Jab zindagi hansai to samajh lo keh ache aamaal ka phal mil raha hai, urdu hikayat, urdu best lines, aj ki achi bat


Jab zindagi hansai to samajh lo keh
ache aamaal ka phal mil raha hai

aur jab zindagi rulai to samajh lo keh
ache kaam karne ka waqt hai

Baaz gunah us lambi sarak ki manand hote hain Jin pe koi speed breaker nahi hota, urdu hikayat, best urdu lines


Baaz gunah us lambi sarak ki manand hote hain
Jin pe koi speed breaker nahi hota

un per chalna shuru karo to bus insaan zindagi bhar chalta he jata hai
aur jab tak koi bara accident na hojai
wo ruk nahi paata

Saturday 7 October 2017

Jinhein khwab dekhna acha lagta hai unhein raat chhoti lagti hai, best urdu hikayat, urdu hikayat, urdu lines


Jinhein khwab dekhna acha lagta hai
unhein raat chhoti lagti hai
aur jinhein khwab poora karna acha lagta hai
unhein din chhota lagta hai

Aurat ka jahaad, shohar ke sath achi zindagi basar karna hai, urdu hikayat, best urdu lines


Aurat ka jahaad, shohar ke sath achi
zindagi basar karna hai


Jab aulaad dunya ki dolat se ameer banjai to maa baap dar dar ke baat karte hain keh kahi aulaad naraz na ho jai, achi baat, urdu hikayat, best urdu lines


Jab aulaad dunya ki dolat se ameer banjai to
maa baap dar dar ke baat karte hain keh kahi aulaad
naraz na ho jai
Lekin jab aulaad emaan ki dolat se ameer
banjai to wo dar dar ke baat karte hain
keh kahin maa baap naraz na hojain

Monday 2 October 2017

Agar khush ho to aahista se hansa karo taa keh ghum na jaag jai, urdu hikayat, aj ki bat, chaarli chaplan



Agar khush ho to aahista se hansa karo
taa keh ghum na jaag jai aur agar
ghamgeen ho to aahista roya karo taa keh
Aanay wali khushi kahin naa omeedi
mai naa badal jai...

(by charli chaplan)

Sunday 1 October 2017

Jab apka Dil dard se bhar jai Aur ankhon mai Aansu aajai to, urdu hikayat, urdu quotations, best urdu lines


Jab apka Dil dard se bhar jai

Aur ankhon mai Aansu aajai to

Allah se chupke chupke batain karliya karen

Wo sab janta hai lekin Aapse sunna chahta hai


Saturday 30 September 2017

Nazar ki hifazat karna zarori hai, urdu hikayat, aj ki bat, best lines in urdu,


Nazar ki hifazat karna zarori hai,
baddnazri se Insaan ke hilal rizq ko kam krdiya jata hai


Banda jitni bari naiki karne ka iradaa karta hai, aj ki bat, achi batain, aqwaal.e.zaree, hikayat, sachi batain, urdu lines,


Banda jitni bari naiki karne ka iradaa karta hai
Shetaan utni he bari rukawat khari karta hai...


Saturday 16 September 2017

Har bivi apne shohar se mohabbat karna chahti hai lekin yaad rakho, haqeeqat, aj ki baat, best lines, women safety, women care,

Har bivi apne shohar se mohabbat karna chahti hai lekin yaad
rakho uske apne maa baap behen bhai aur deegar ghar
waley bhi hain jin se wo Laa-talluq nahi ho sakti aur
naa hee usse aisi tuwaqqa jaaiz hai



Monday 11 September 2017

zindagi me jo lamha guzar raha hota he us lamhe me koi lamha aisa b hota he insan ki zindagi me, hikayat, achi bat, best lines of urdu


zindagi me jo lamha guzar raha hota he
us lamhe me koi lamha aisa b hota he insan ki zindagi me 

jo us lamhe ki yad insan 
ko her guzarte lamhe me yad aate he or ahsas dilate he k 
isi lamhe ki trah 
ap b aik yad ban k reh jai ge or ap ka wajood nhe ho ga un lamho me....

Insan ko apni zindagi me koi aisa amal zaror karna chaheye jis se kisi k chehray pe khusi aa jai, aj ki achi bat, hikayat,



Insan ko apni zindagi me koi aisa amal zaror karna chaheye jis se kisi k chehray pe khusi aa jai 

wo tori dair k liye he q na ho 
q k 
kisi k chehray par khusi ap ki waja se aa jai samjo k ap ne 
duniya me zada nhe tu aadhi kamyabi zaror hasil kar le he...

Saturday 9 September 2017

Janazay ke hamra jao to murday se zyada apna ghum karo, urdu hikayat, achi baat, zindagi ki asal haqiqat


Janazay ke hamra jao to murday se zyada apna ghum karo keh
wo mulk.ul.mout ka mou dekh chuka hai aur mujhe bhi dekhna hai
wo mout ki talkhi ka maza chakhh chuka hai aur mai ne bhi
mout ki talkhi ka maza chakhna hai



Sunday 30 July 2017

Gunahon ka boj halka kejiyeay, Jab koi shakhs nemaz ke liye khara hota hai to uske gunah uske sir aur kandhon per rakh diye jate hain


Gunahon ka boj halka kejiyeay
Jab koi shakhs nemaz ke liye khara hota hai to uske
gunah uske sir aur kandhon per rakh diye jate hain
jab jab wo rukoo aur sajda mai jata hai to wo gunah girte rehte hain...


Sunday 18 June 2017

Haqeeqi Rozadaar kon Hai? Jiski zuban jhoot, behooda goi, galam galoch aur gheebat se mehfooz rahe, Yehi roza ki haqeeqat hai, urdu hikayat,


Haqeeqi Rozadaar kon Hai?


- Jiski zuban jhoot, behooda goi, galam galoch aur gheebat se mehfooz rahe,
- Jiski nighain Allah ki haraam karda ashiya aur naa mehram ko dekhne se bachi rahen
- Jiske kaan moseeqi aur dhol bajon ki awazon se mehfooz rahen,
- Jiski sharamgah fehesh aur shehwat ke kamo se bachi rahe,
- aur jiske tamaam aaza o jawarh gunahon se ruke rahen

Yehi roza ki haqeeqat hai,
Roza sirf bhooka pyasa rehne ka naam nahi..


Wednesday 17 May 2017

Kisi ki madad karne se pehle teen batain yaad rakhein


Kisi ki madad karne se
pehle teen batain yaad rakhein


1. Aap jo bhi de rahe hain wo apni jaib se nahi bul keh
Allah ki ataa karda naimat mai se de rahe hain

2. Aap Allah ke liye de rahe hain naa keh us shakhs
ko jis ki madad ki jaa rahi hai

3. madad karne se sarmaya kam nahi hota bul keh Allah ke waday
ke mutaabiq kai gunaa barh jata hai

Agar koi Taalib-e-Ilm ye soch le keh Ilm ustaad se nahi kitaab se hasil hota hai to usne, urdu hikayat, urdu qoutations,


Agar koi Taalib-e-Ilm ye soch le keh Ilm ustaad se
nahi kitaab se hasil hota hai to usne
nakaami ki pehli seerhi per qadam rakh liya


Zindagi mai jab insaan ko hidayat miljai wo ye na dekhe keh kya kar chuka hai bs waha se , urdu hikayat, aj ki bat, qoitations


Zindagi mai jab insaan ko hidayat miljai
wo ye na dekhe keh kya kar chuka hai bs waha se
raasta badal lay...


Aksar aisa hota hai keh hum apni sochon mai gum Himmat haarnay ke qareeb hote hain keh achanak, urdu hikayat, urdu qoutations, aj ki achi bat


Aksar aisa hota hai keh hum apni sochon mai gum
Himmat haarnay ke qareeb hote hain keh achanak
Kuch aisay alfaaz parhne ko milte hain keh hosla
bahaal hojata hai, Ye  ALLAH ki taraf se hota hai
wo hame umeed ki kiran thama deta hai...


Tuesday 25 April 2017

Shikway har rashte mai hote hain Hum khud mukammal nahi hote lekin


Shikway har rashte mai hote hain
Hum khud mukammal nahi hote lekin
Rishta mukammal chahte hain


Kisi ko chaho to s niyyat se chaho keh wo bhalay tumhe miley ya na miley, urdu hikayat, aj ki achi bat,


Kisi ko chaho to
s niyyat se chaho keh
wo bhalay tumhe miley ya na miley
per isay jab bhi mohabbat miley
to tum yaad aao...


Sunday 9 April 2017

Bachhon ke samnay behes mubahisay aur larai jhagray se guraiz keejiye, achi batain,

Bachhon ke samnay behes mubahisay aur larai jhagray se guraiz keejiye

  • Maa baap per etemaad majrooh hota hai
  • sahi aur ghalat ki uljhan mai parr jate hain
  • tanhai aur andeshon ka shikaar ho jate hain
  • bachhon ki khud-etemaadi mai kami waqay hoti hai aur shakhsiyat tabah ho jati hai


Koi barri tabdeeli nahi chahte, bus itna he chahte hain keh pani ke matkay ke sath rakha glass zanjeeron mai jakra na ho, sajda karte hoe insaan ka dehaan jooton ki chori ki taraf na ho,


Koi barri tabdeeli nahi chahte,
bus itna he chahte hain keh pani ke matkay ke sath rakha glass

zanjeeron mai jakra na ho, sajda karte hoe insaan ka
dehaan jooton ki chori ki taraf na ho, do waqt ki rotti
ki khaatir kisi ko apni ismat na bechni pare kisi nasoom ke
kandhay pe boot polish ka box na ho. koi bara inqelaab,
koi bari tabdeeli nahi chahte..

Kamyaabi ye nahi keh aap sab kaam behtareen karein.. kisi aik kaam ko pakar lein aur, urdu hiakayt, aj ki bat


Kamyaabi ye nahi keh aap sab kaam behtareen karein..
kisi aik kaam ko pakar lein aur
us mai behtareen banjain..


Ilm hasil karein ye zarori hai lekin illm se kuch hasil karein ye bohat zarori hai, urdu hikayat, aj ki bat, achi batain


Ilm hasil karein ye zarori hai
lekin illm se kuch hasil karein
ye bohat zarori hai


Bacchon ko mazaq aur jhoot ka farq samjhain mazaqan jhoot bolne se: Apas mai badd-etemaadi peda hoti hai


Bacchon ko mazaq aur jhoot ka farq samjhain
mazaqan jhoot bolne se:

Apas mai badd-etemaadi peda hoti hai
aisa mazaq karne wala jhoota mashhoor hojata hai
bacchon mai jhoot bolne ki adat pukhta ho jati hai

Bachon ko samjhaiye:

Jhoota mazaq khush karne ke bajai, logo ko takleef dene ka sabab banta hai

Life is the most difficult exam...Many people fail because they try to copy others, not realizing that everyone has a different question paper.


Life is the most difficult exam...

Many people fail because they
try to copy others, not realizing
that everyone has a different
question paper.

Sunday 12 March 2017

Mominn ki aankh se Khof aur mohabbat mai nikalne wala aik aansu dunya aur us mai Mojood har cheez se behtar Hai


Mominn ki aankh se
Khof aur mohabbat mai nikalne
wala aik aansu dunya aur us mai
Mojood har cheez se behtar
Hai


Tanzz wo teer hai jo Shehed mai bhigo kar bhi mara jai, Phir bhi uski karrwahat aur chhubhan km nahi hoti


Tanzz wo teer hai jo
Shehed mai bhigo kar bhi mara jai

Phir bhi uski karrwahat aur
chhubhan km nahi hoti

Har insan ne aik naqaab pehna hua hai, Kuch logon ka ye naqaab Allah Talla dunya hee, aj ki bat, urdu hikayaat, urdu quotations,


Har insan ne aik naqaab pehna hua hai,
Kuch logon ka ye naqaab Allah Talla dunya hee

mai utar deta jab keh kuch logo ko
Muhlat deta hai ta keh wo toba karlein

Apne Gerebaan mai jhaankein Doodh mai pani, Rishton mai madiyat, AUR KEHTE HAIN HUKMARAAN THEEK NAHI

Apne Gerebaan mai jhaankeinDoodh mai pani, Rishton mai madiyat

Shehed mai sheera, haldi mai masnoi rang
ghee mai chemical, mirch mai surkh einten
imtehannat mai naqal, nokri mai rishwat o safarish
naap tol mai kami, hotalon mai muurdaar ka gosht
dosti mai khudgharzi, bijli ke bill mai heera pheri
Emaan mai munafiqat, tex ki adaigi mai chori
ebadat mai riyakaari
AUR KEHTE HAIN HUKMARAAN THEEK NAHI

Thursday 23 February 2017

I FOGAVE YOU BECAUSE I LOVED YOU


I FOGAVE YOU

BECAUSE

I LOVED YOU

Toba manzoor hojai to wo gunah kabhi sarzad nahi hota aur naa uss gunah ki yaad baqi rehti hai..


Toba manzoor hojai to wo gunah kabhi sarzad nahi hota
aur naa uss gunah ki yaad baqi rehti hai..


Aagay zaroor barhiyee, Lekin doosron ko roondh kar nahi..., naseehat, urdu lines, aj ki baat, achi batain


Aagay zaroor barhiyee,
Lekin doosron ko roondh kar nahi...


Muhabbat Insan Bas Aik Hi Baar Karta Hai Baqi Muhabbatain To Us Muhabbat Ko Bhoolnay K Liye Karta Hai, best urdu lines, haqeeqat,


Muhabbat Insan Bas Aik Hi Baar
Karta Hai Baqi Muhabbatain To
Us Muhabbat Ko Bhoolnay K
Liye Karta Hai...


You Hurt me more than what I deserve because I loved you more than what you deserve, english famous quotations, best lines,


You Hurt me
more than what
I deserve
because I loved
you more than
what you deserve.


You know you really love someone when you can't hate them for breaking your heart, famous english quotations, best lines


You know
you really love
someone
when you can't
hate them
for breaking
your heart


Sunday 29 January 2017

Hum kabhi kabhi kisi se itni mohbbat or piyar karne lagte hain keh Jb us ka sath nahi rehta ya wo sath chor daita he, urdu hikayat, best urdu lines, aj ki bat


Hum kabhi kabhi kisi se itni mohbbat or piyar karne lagte hain
keh
Jb us ka sath nahi rehta ya wo sath chor daita he 

tu 
Phir uski yad takleef pohanchate he 
magar 
Itni mohabbat or piyar kisi aise se karna chaheye 
jo ap ka hamesha sath de ap ko kabhi kisi kisam ki takleef na dai.....

Sunday 1 January 2017

Har insaan ne aik naqaab pehna hua hai, Kuch logon ka ye naqaab ALLah dunya he, urdu hikayat, aj ki achi bat, best usrdu qoutations,


Har insaan ne aik naqaab pehna hua hai,
Kuch logon ka ye naqaab ALLah dunya he
mai utaar deta hai jab keh kuch logon ko
muhlat deta hai taa keh wo tobah karlein