Roza aise rakho jese zindagi ke gunah aik he roze mai khatam hojain..
Samajhdaar log behes nahi karte kyun keh wo jante hain keh siwae apas mai ranjj peda hone ke s se mofeed nateeja baraamad nahi hua karta
"Jo log zindagi ko aik Muqadas fareeza samajh kar sarf karte hai wo kabhi nakaam nahi hote"
Neyk insan ke dilon mai bhi bure Khayalat aatay hain magar Wo yun hee chale jate hain Koi dhabba or daagh dil par nahi laga jate
Agar kisi ko apna hm khayal banana chahte ho to pehle usko mutmain kardo keh tum uske sache dost ho..
Jab insaan ki mehnat ghalat hojai to yaqeen kamzor hojata hai or jab yaqeen kharab hojai to amaal kharab hojate hain, Amaal kharab hojain to insaan nakami ke raste ko ikhteyar kar leta hai
Jo Takleef tum khud bardasht nahi kar sakte wo kisi dosre ko bhi na do..
Jo Takleef tum khud bardasht nahi kar sakte wo kisi dosre ko bhi na do
Lambi Omeedon se door raha karo Kyun keh wo tumhare pas mojood nematon ko haqeer bana deti hain
Rishton ki Rassi Kamzor tab hoti hai jab insan Ghalat Fehmi mai Peda hone wale sawalon ke jawab bhi khud bna leta hai
Baa-adab shaagird he Ilm se poora poora Mustafeed hota hai
Tuhmat rah mai pare is kante ki manand hoti hai jo chubhte hoe ye nahi dekhta keh paon naik raahgeer ka hai ya badd ka