Insaan jitni mehnat aeib chupanay mai karta hai
Itni mehnat se Aeib ko door kya ja sakta hai
Mout (Death) aik khula raaz hai
khula sliye keh har aik janta hai keh usay mout aani hai
aur Raaz bhi koi nahi janta keh ye kab, kahan or kese aani hai
Logo ke liye aap tab tak ache ho
Jab tak aap unki omeedon ko pora karo
aur tumhare liye sabhee log ache hain
Jab tak aap unse koi omeed na rakho
Waqt or samajh aik sath khush qismat logo ko milte hain
Kyun Keh aksar waqt per samajh nahi hoti
aur samajh anay tak waqt nahi rehta
Wo log kisi ke nahi hote jo dost
aur rishton ko libas ki tarah badalte hain
Khwahish se nahi girte phal jholi mai
waqt ki shaakh ko mere dost hilana hoga
Kuch nahi hoga andheron ko bura kehne se
apne hisse ka diya khud he jalana hoga
Roz Gunah Karta hoon,
Wo chupata hai apni rehmat se
Mai majboor apni adat se,
Wo mashhoor apni rehmat se
Sab insan aik jese
Nahi hote,
Bohat Farq hua karta hai
Koi zindagi ko guzarta hai or
kisi ko zindagi guzar deti hai
Kabhi kabhi naik kaam kar lena koi
bari baat nahi
Bul keh naik kamo par qaim rehna bari baat hai
Zindagi mai agar intekhaab ka moqa mile to taas kar lena
isliye nahi keh intekhab mai asani hojaigi
Bul keh isliye keh jab sikka hawa mai hoga to apko
pata chal jaiga keh apka dil kya chahta hai
Agar nakaami ke bad kamyabi mile
to bajai us keh
ke kamyabi ke baad nakaami mile
Mout sab sebari haqeeqat hai
Jisko har shakhs bhula betha hai
or zindagi sab se bara dhoka hai
Jis ke peechay har shakhs bhaag raha hai
Hamesha zindagi is tarah basar karo keh
Dekhne wale tumhare dard per afsos ke bajai
Tumhare sabar par rashk karen
Bohat see aurtein aisi hai jo admi ko bewaqof banati hai
or bohat see aisi hain jo bewaqof ko admi banati hain
Kabhi bhi koi faisla gusse ki halat mai na karna
Kyun keh
Ubalte hoe paani mai aks dikhai nahi deta
Badd zubani, BAd kalami or fehish goi se
Ap na sirf apna waqar tabah karte hain
Bul keh in logon ki bhi toheen karte hain
jinhon ne apki tarbiyat ki
Aurat Ki khubsurti
Husn o jamal sirf khubsurat chehre ka naam nahi
Bal keh izzat o sharafat ka bhi husn o jamal mai dakhal hai
kyun keh bawajood khubsurti ke sharafat per dhabba lage
to sara husan maand parr jata hai
Insaan ki sabse
Bari ghalti Apni Ghaltiyon se
Be-Khabar Hona hai
Insaan kisi bhi shay ko dhoka qarar de kar khud ko
Bari khubsurti se dhoka dene mai kamyaab
ho jata hai..