Agar anday ko bahir se tora jai to "Zindagi dam Torr deti hai"
Jab keh anda andar se tootay to "Zindagi janam Leti hai"
(Masbat tabdeeli hamesha andar se peda hoti hai
apna andar badliye)
Jo Elm duniya kamane ke liye hasil karta hai
Elam uske dil mai jaga nahi pata
Imam Abu Hanifa (RH)
Do cheezen insan ki kamzori zahir karti hain.
Jaha bolna ho, waha khamosh rehna
or jahan khamosh rehna ho, wahan bolna
Kabhi kabhi insaan ko
apna bojh baant lena
chahiye, magar sahii
bande ke sath
aur sahii waqt per
Gunahon ki badbuu ki vaja se hamari
Duain murda hojati hain..
Mazaq Ki kasrat
Aksar dushmani ki waja
banjati hai
Hazrat Ali (R.A)
Zindagi ke har mor per sulah karna seekho
kuyn Keh jhukta wohi hai
Jis mai Jaan hoti hai
Akarna to murday ki pehchan hoti hai..
Hamesha apne Rab-ul-Izzat se Pur Omeed rehna
Kyun Keh
iss pori kainaat mai jitna jaldi Rab Razi hot hai
Utna jaldi koi raazi nahi hota
Darakht jitna ouncha hoga
uska saya utna he chota hoga
Sliye "Ouncha" banne ke bajai
"Bara" banne ki koshish karo
Mojuda dunya aik aisi jaga hai
jahan har insaan per gham or takleef ka lamha aata hai
magar aise lamhaat hamesha waqti hote hain
agar aadmi s lamhe ko bardasht kar le to
bohat jald usay maloom hota hai keh
"Tareek Haal" mai uske liye
"Roshan Mustaqbil" chupa hua hai..
Aadmi bees sair wazan utha leta hai
magar aansu nahi utha sakta
wo gir parte hain...
Parende panjon ki vaja se,
Machliyaan mou ki vaja se,
Chopai paon ki vaja se,
or Insaan apni zuban ki vaja se jaal mai phanste hain
Log 90 % ittefaqi masail per amal nahi karna chahte
or 10 % ikhtelafi masail per behes karna apna haq
samajhte hain
or apna waqt zaya karte hain...