Saturday, 30 May 2015

Bacha jab bara ho jata hai to us se sikkay wali pencil lekar qalam sliye de diya jata hai, aj ki baat


Bacha jab bara ho jata hai to us se

sikkay wali pencil lekar qalam sliye de diya jata hai

ta keh wo samajh jai keh ab uski

ki gai ghaltiyon ko mitana asaan nahi hoga


Nigaah ke samnay bek waqt bohat se manazir hote hain magar sirf wohi wazih or saaf, urdu hikayat, aj ki bat


Nigaah ke samnay bek waqt bohat se manazir

hote hain magar sirf wohi wazih or saaf

nazar ata hai jis per focus hota hai


Wo log jo insaan ko chor kar yaa insan se mou mor kar khuda ki talash karte hain, urdu hikayat

 

Wo log jo insaan ko chor kar yaa

insan se mou mor kar khuda ki talash karte hain,

Kamyab nahi ho sakte...


Friday, 15 May 2015

apne baap se mohabbat keejiye jo khud to laathi teknay laga magar apko paon par khara kardiya, urdu hikayat

 

apne baap se mohabbat keejiye

jo khud to laathi teknay laga

magar apko paon par khara kardiya


Thursday, 7 May 2015

Yaqeen hogaya keh gharon ke andar gunjaish ka taaluq dil se hota hai. Dil khulay hon to, urdu hikayat, aj ki bat


Yaqeen hogaya keh gharon ke andar gunjaish ka

taaluq dil se hota hai. Dil khulay hon to

chotay ghar mehel ho jate hain. aur agar dil

tang hon to mehel darrbon mai badal jaye hain


Amooman mashray mai log jab kisi shakhs mai koi burai dekhte hain to saray logon mai uska zikar, urdu hikayat


Amooman mashray mai log jab kisi shakhs mai koi

burai dekhte hain to saray logon mai uska zikar

karte hain siwai uske, jis mai burai mojood

hoti hai aur phir islaah ki tawaqa rakhte hain,,,


Friday, 1 May 2015

Aik shakhs gusse ka bohat tez tha.. aik aalim ne mashwara diya: jab gussa aai to jungle ja kar darakht mai keel thokna, urdu hikayat, aj ki baat


Aik shakhs gusse ka bohat tez tha..

aik aalim ne mashwara diya: jab gussa aai to

jungle ja kar darakht mai keel thokna

 

usne aisa he kiya, aakhir auk din uska gussa khatam hogaya

 

usne Aalim ko bataya.. Aalim ne kaha: ab us darakht se

ye keelein nikal lo, Aadmi ne nikal leen lekin darakht mai

sorakh hogai. Aalim ne kaha: ye wo sorakh hain jo tum gusse ki

halat mai logo ke dilon mai karte thay