Saturday, 26 September 2015
Mohabbat zaroori nahi hoti izzat zaroori hoti hai aur agar aap kisi ko izzat nahi de sakte to Ap is dunya ke nakaam tareen insaan hain, urdu hikayat,
Mohabbat zaroori nahi hoti izzat zaroori hoti hai
aur agar aap kisi ko izzat nahi de sakte to
Ap is dunya ke nakaam tareen insaan hain
Gunah se bachne ki do soortein hain Dil mai ALLAH se mulaqat ka shoq ho Ya ALLAH ke samnaypeshii ka khauf ho inke baghair bachna mushkil hai, aj ki bat
Gunah se bachne ki do soortein hain
Dil mai ALLAH se mulaqat ka shoq ho
Ya
ALLAH ke samnaypeshii ka khauf ho
inke baghair bachna mushkil hai
Friday, 11 September 2015
Insaan ye samajh kar jhoot bolta hai keh kabhi pakra naa jaiga aur ye yaqeen rakh kar dhoka deta hai keh aglaa bewaquf kabhi uski, aaj ki bat
Insaan ye samajh kar jhoot bolta hai keh kabhi
pakra naa jaiga
aur ye yaqeen rakh kar dhoka deta hai keh
aglaa bewaquf kabhi uski
ayyaari aur makkaari ko jaan nahi paiga magar
khuda ka qanoon bara mukhtalif hai
insaan ko waha aa kr thokar lagti hai
jahan usay paar pohanch jane ka
sab se zyada yaqeen hota hai
Saaf go aur mou phatt log kabhi bhi logo ke pasandeeda nahi hote Lekin aise log in chaaploos-o-keena parwar logo se behtar hote hain, urdu hikayat, nice words, aj ki bat
Saaf go aur mou phatt log kabhi bhi
logo ke pasandeeda nahi hote
Lekin aise log in chaaploos-o-keena parwar
logo se behtar hote hain
jo apke mou per apki ki tareef-o-tauseef ke pul bandhtay hain
aur peeth peachay aib joiee-o-badgoiee mai
mulawvis rehte hain
aise log bohat khatarnaak-o-naqaablay aitebar hote hai
Wednesday, 2 September 2015
Subscribe to:
Posts (Atom)