Jis tarah aap chahte hain keh aapka bahir ka jism
khubsurat aur jazib nazar ho
Usii tarah koshish s baat ki bhi honi chahiye aapka andar bhi
khubsurat ho..
Baaz Gunah s lambi sarak ki manand hote hain
Jin pe koi speed breaker nahi hota,
in pe chalna shuru karo to bus insaan phir chalta he jata hai
aur jab tak koi bara accident na hojai
wo ruk nahi pata..
Kisi rishte ko kitni bhi mohabat se bandha gaya ho
Agar izzat aur lehaz chala jai
to mohabbat bhi chali jati hai..
Zindagi ka har imtehaan insaan zahanat aur
mehnat se paas nahi kar sakta,
Baaz imtehaano ke liye Qismat ke
Elawa aur koi cheez darkaar nahi
Hoti.
Kaaf Log/ Kain shakhs Khana khanay bethein
to unka apas mai ye kehna
Keh "BISMILLAH" parh kar khao us se behter hai
aik shakhs boland awaz se parh de ta keh dosron ko bhi
Yaad ajai..
Agar niyaton ka asar chehron per nazar anay lagta to
aaj mashray ka har teesra fard niqaab karne per majboor ho jata
Banda jitni bari neki karne ka irada karta hai
Shetaan utni he bari rukawat khari karta hai.
Khud pathar ke banjao aur sab per phool barsao,
Pathar ke banjaoge to koi mosam asar nahi karega,
na sardi, na garmi, na mohabbat, na nafrat, Kabhi koi dukh nahi
de sakega. lekin dosron ke liye itne naram raho
keh kabhi tumhare alfaaz aik lamhe
ke liye bhi kisi ko dukhi na karen.
Insan ke andar khwahish ka peda hona ghalat nahi,
uska belagaam hojana ghalat hai, kyu keh khwahishaat
ki andhi pervee, insaan ke pas ye moqa nahi
chorti keh wo aakhirat ke liye sarmaya kari kare.
yehi vaja hai keh Quran Pak mai jaga jaga jannat
ko sabar ka badla qaraar diya gaya hai...
Jab hum apne aap se ghafil ho jate hain aur
Khud ko waqt ke hawalay kar dete hain kehte hain
Keh waqt nahi milta to hamara nafs hamari bejaa
Khwahishaat se paraginda hone lagta hai us per
ache ki taraf se girdd chhanay lagti hai aur
bure ki taraf rughbat teherti jati hai...
Bivi ke liye shohar se aur shohar ke liye Bivi se
acha koi dost nahi hai,
wahid aisa dost jo behtareen mashwara dega,
kyu keh jo bhi ho, ache aur bure halaat ka saamna
dono ko mil kar karna parta hai. yehi dosti hai..!!
Insaan "behtar" se "Behtareen" ke safar mai
"Behtareen" ki khaatir "Behtar" ko qurban kar deta hai..