Sunday, 22 November 2020

Phittkari ke kamalaat Saanp (Snake) ke katnay ka elaaj,

 


Phittkari ke kamalaat
Saanp (Snake) ke katnay ka elaaj

Dunya ke zehreelay saanp katay ke elaaj mein 
Phitkari 2 se 3 tola pees kar aik glass pani mai 
mila kar pila dein, agar maut se 2 min
pehle mareez ko pila di jai 
tu mareez marne se yaqeeni bach jata hai
Phitkari mai khaaliq kainaat ne wo taseer rakhi hai 
keh jism mai saanp ke
aise zeher ko jo aik hazaar aadmiyon ko maar sakta hai 
chacham zadan mein zeher ko
poray jism mai 5 second se pehle 
aise talchatt kar deta hai jese doodh
phat jata hai aur zeher ki hebat ko 
fori tabdeel kar ke be-asar kar deta hai
bashart ye keh uski harkat e qalb band na hoi ho 
usse barh kr koi nuskha ho he
nahi sakta

Ghair shadi shuda, Shadi ki hasrat mai hai, Shadi shuda tallaq ke chakar mai, Best reality in now a days, aj kal ki haqeeqat


Ghair shadi shuda, Shadi ki hasrat mai hai,
Shadi shuda tallaq ke chakar mai


Bachon ko bara hone ki jaldi hai
badon ko bachpan lot aanay ki aarzu

Mulaazim naukri ki sakhtiyon se nalaan hai
aur berozgaar naukri ke liye pareshaan

Ghareeb chahta hai ameer hojai
jab keh ameer sakoon ka talabgaar hai

Aam admi shuhrat ke liye mara jaa rha hai
aur mashoor aadmi logon se chupta phirta hai

hum sab naa-khush hain, jaante hain kyu??
Kyu keh hum ALLAH ki raza mai raazi nahi hain..!!

 

Sunday, 1 November 2020

Waqt ki qeemat samajhni hai to akhbaar (Newspaper) se samjho Jo subha 15 rupay ka hota hai, aqwal-e-zareen, best urdu lines, urdu hikayat,

 


Waqt ki qeemat samajhni hai to akhbaar (Newspaper) se samjho
Jo subha 15 rupay ka hota hai
aur shaam ko wohi akhbaar
15 rupay kilo bikta hai