Nafrat mohabbat ke bs aik qadam ke faslay per hai, lekin mohabbat nafrat se bohat door hai, be-inteha mohabbat ko nafrat mai badalte aik second lagta hai, haan sirf aik second apke bohat mehboob insan ko qabl-e-nafrat bana deta hai barson dil mai basnay wale insan ko ap bahir nikal phenkne mai mai aik pal nahi lagate. lekin agar socha jai to jis se hum nafrat karte hain usse mohabbat karne mai ya to sadiyaan lag jaingi ya phir usse mohabbat ho gii he nahi, nafrat mohabbat per haavi ho jati hai lekin mohabbat ko khud per haavi nahi hone deti issee liye mohabbat karo to aise jese nafrat ki jati hai..
Sardi ka mausam aa chuka hai, bara-e-meharbani apni car ya sawari mai zyada na sahi poranay sweater, jurabe ya garam kapre zarur rakhein ta keh nazar anay per aise mehroom aur mustahiq bachon aur afraad ko de sakein jo apki madad ke muhtaaj hain
Mai jab bacha tha to aksar khelonay toot jate thay mere ronay pe maa aa kar, khelonay jorr deti thi suna hai maa se bhi barh kar tujhe ulfat hai bandon se to AA ke jorr de YA ALLAH mai khud ko tor betha hon
Jab andhera tumhe chaaron taraf se ghair le tab tum us hasti ko bolana jo tum sb se zyada mohabat karta hai, beshak wo ALLAH he hai wohi tumhe andheron se nikal kar roshni ki janab le jai ga...